Dekha Palat K Us Ne K Hasrat Usey Bhi Thi.
Hum Jis Pe Mitt Gaye They Mohabbat Usey Bhi Thi.

Chup Ho Gaya Tha Dekh Kar Wo Bhi Idhar Udhar.
Duniya Se Meri Tarha Shikayat Usey Bhi Thi.

Ye Soch Kar Andhere Gale Laga Liye
Raaton Ko Jaagne Ki Aadat Usey Bhi Thi.

Wo Ro Dia Tha Mujh Ko Pareshaan Dekh Kar.
Us Din Laga K Meri Zarurat Usey Bhi Thi.