Main Jab Bhi Teri Yaadon Ka Sahara Thaam Leta Hun.
Bhula Deta Hun Dard-O-Gham Zara Aaram Leta Hun.

Na-Jane Kon Sa Jazba Mujhe Majboor Karta Hai.
Main Aksar Be-Khudi Me Bhi Tumhara Naam Leta Hun.

Yaqeen Karta Nahi Koi Bhi Meri Be-Gunahi Ka.
Main Khud Chup Chap Apne Sar Pe Har ilzam Leta Hun.

Mujhe Har Bat Par Rona Kabhi Achcha Nahi Lagta.
Isi Khatir Main Apne Gham Hansi Me Taal Deta Hun.