Mujhe Jeeney Ki Umeed Dobara De Do.
Meri Doobti Kashti Ko Kinara De Do.
Main Dard K Sahil Pe Tanha Khada Hun.
Phir Aa K Apni Baahon Ka Sahara De Do.
Tera Daaman To Bhara Hai Sitaron Se.
Mujhe Sadqey Me Ek Sitara De Do.
Mere Aangan Me Aaj Andhera Hai Bohat.
Meri Dehleez Ko Phir Apna Nazara De Do.
Chand Lamhey Tujhe Dekhne Ki Hasrat Hai Bs.
Maine Kab Kaha Waqt Apna Mujhe Sara De Do.