Kisi Ne Aankh Bhi Kholi To Sone Ki Nagri Mein.
Kisi Ko Ghar Banane Main Zamane Beet Jate Hain.

Kabhi Kali Siyaah Ratain Hamain Pal Pal Ki Lagti Hain.
Kabhi Sooraj Ko Aane Main Zamane Beet Jate Hain.

Kabhi Khola Ghar Ka Darwaza To Saamne Thi Manzil.
Kabhi Manzil Ko Pane Main Zamane Beet Jate Hain.

Muqaddar Aazamane Main Zamane Beet Jate Hain.
Muradein Dil Ki Pane Main Zamane Beet Jate Hain.